Har behta pal ek ehsas dilaye,
Ye dhalti sham fir ik armaan jagaye,
Patte pe os ki boond fir kuch kehna chahe,
Aur ye dil phir na sun na chahe...
Ek baat in hothon tak aye,
Fir andar sama jaye,
Ik raaz dil mein basa , ankhon se dikh jaye,
Sagar ki lehar, andar ek toofan jagaye,
Or tera muskurana use sahnt kar jaye...
Ye sama fir bahon mein ithlaye,
Nigahein fir badalon k par dekhna chahe,
Ek khushboo hawa mein terti, dil ki choo jaye
Par ehsas vo kya hai, ye samajh na aye...
Armano ka vo badal ik jhonke se ud jaye,
To ye raz dil kisi ko kya batlaye...
No comments:
Post a Comment