Tuesday, 24 February 2015

MUJHE SAMBHALE REHNA MAA


Sote hue kahin kho jata hun,
Chalta hun , jane kyun ruk jata hun,
Saham jata hun, ghabra jata hun,
Bhid mein kahin fir kho jata hun,
Rehna ab akele hi hai, janta hun,
Dil ko kaise samjahun , yehi sochta hun,
Toot ta nahi hun, bikharta nahi hun,
Teri khatir muskurata bhi hun...

Subah jagane se raat sulane tak, sab yad rakhta hun,
Kabhi gir jaun, to tujhe soch kar sambhal jata hun,
Har kahi-ankahi baat samajhti ho, janta hun,
Gusse mein bhi dant ti nahi ho, janta hun,
Duniya se bacahna chahti ho, seekh rha hun,
Har sham tujh se baat kar muskurata bhi hun,
Sari pareshani khatm hoti hai, jab tujhse milta hun,
Ek kadam teri or fir badhata hun...

Ungli hamesha pakde rehna , yehi chahta hun,
School ki tarah intezar karna , mein fir ata hun,
Koi bhi ho baat, har kadam tere sath , teri or badhata hun...




 



 

No comments:

Post a Comment